DOSTI AISE HI HOTI H

विश्वास के कोमल धागों से है बनता, रिश्तो का संसार |
ज्ञान नहीं, धन नहीं, प्रेम है जीवन का आधार ||

जो प्रेम, स्वार्थ की सीमाओं से परे, करे, वो दोस्त |
खाली जीवन को, स्वर्णिम लम्हों से करे, हरे भरे, वो दोस्त ||

वो दोस्त, समझ हो जिसे, दोस्त की हर धड़कन की |
वो दोस्त, समझ हो जिसे, इस अटूट बन्धन की ||

यह तन नश्वर, जीवन नश्वर, है नश्वर यह संसार |
जो मिटे नहीं, रहे अमर सदा, वो है, दोस्ती – एक अमूल्य उपहार

माना, तू अजनबी है और मैं भी, अजनबी हूं डरने की बात क्या है ज़रा मुस्कुरा तो दे

Aansoo Main Na Dhoondna Humein,Dil Main Hum Bas Jaayenge,Tamanna Ho Agar Milne Ki,To Band Aankhon Main Nazar Aayenge.Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayenga,Chund Lamhoo Main Daaman Choot Jaayega,Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,Kal Kiya Pata Koun Apke Zindagi Main Aa Jayega.Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hain,Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hain,Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hain,Waqt To Humein Bhula Chuka Hai,Muqaddar Bhi Na Bhula De,Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,Kyunke Darte Hain,Koi Phir Se Na Rula De,Zindagi Main Hamesha Naye Loug Milenge,Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,Aitbaar Zara Soch Kar Karna,Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,Door Hote Howe Bhi Pass Nazer Aayenge..!

Search This Blog

Powered By Blogger

Wednesday, December 23, 2009

ek sawaal

Aaj sabki aankhon mein ek sawaal hai,
sabki palkon par saje kuch ashkon k taal hai,
har shaks dooba hai apni yaadon mein,
yaadien jo bhulaye nahin bhulengi, yaadien jo aankhon mein nami bhar dengi,
aaj hum sab apni apni rah nikal jayenge, shayad jeevan mein fir na mil payenge
jab bhi akele honge hum toh sirf dost hi yaad aayenge,
yaad aayenge woh pal jo saath beetaye the,woh pal jab hum saath muskuraye the
woh pal jab dil kisi ka tuta tha, woh pal jab koi apna humse rootha tha
ruthe dost ko manana, har aashiq ko samjhana
kabhi kisi ko pareshan karna, sada doston ki taang kheechna
aaj har pal ek tasveer ban gaya hai, har pal dil mein chap gaya hai
ab koi koshish lakh kare, hum na kisi ko yoon bhulayenge
dost teri khaatir muskurayenge, tere liye ek khubsurat jahan banayenge


Fir bhi kahin dil mein ek nirasha hai.........
aaj lagta hai zindagi ruk kyu nahin jaati,
ae dost isi pal tham kyu nahin jaati,
hum kyu nahin yu saath rahe, kyu nahin hum aise hi sada baat kare
kyu likha hai kismat mein juda hona, kyu nahin hum saath jeeye
fir dil se ek awaaz aayi, ki zindagi rukne ka naam nahin hai bhai
jo chala hai iski dagar, usne chume hai naye shikhar
haan hum dur rehkar bhi saath rahenge, yaadon mein ek dusre se baat karenge
aaj bichadna jaroori hai, kyunki yeh hi zindagi hai
yun ashkon ko palkon mein chupa, dost ko koi shubhakamnaye de aa
aaj har dost ko haste hue alvida kar, uski zindagi mein kuch khubsurat khwaab bhar,
har khwaab mein uske apno ka saath ho,uske chehre par sada muskurahat ho
kyunki dost ki khushi se badkar kya hai,aaj uske liye hi jeena hai uske liye hi marna hai.


aaj aasha karta hoon ki raho ki dooriyan, dillo ko door naa karde
aasha karta hoon ki zindagi ki bhaagdhod un saath bitaaye palo ko choor na karde
kehte hain dosti sharab ki tarah hoti hain,jitni poorani utni gherhi
aasha karta hoon ki aisee tanhayee mujhe sharaab peene par majboor na karde...

No comments:

Post a Comment